Ashoor ka dhal jana, Sughra ka woh mar jana
Akbar a.s tere seney mein ,burchi ka utar jana
Ay khone Ali Akbar a.s medaan e qayamat mein
Shabeer k chahrey par khuch or Nikhar jana
Sajaad a.s yeh kahte thy masoom sakina say
Abbass a.s k lashay say chup chaap guzar jana
Nunay say mujahid ko maa ne yeh nasiyat ki
teeron k muqabil be bekhoof o khatar jana
Muhsin ko rulaay ga ta Hashar lahoo aksar
Zahra a.s teri kaliyon ka Sehraa mein bikhur jana
No comments:
Post a Comment