Saturday, November 27, 2010

Nice Rubaiyaat

Qama K Zakham Ubharta Hai Zindagi Ban Kar
To Kia Ye Madar e Shah Ka Karam Nahi Hota?
LAhoo Luhaan Hotay Hain MataMi NAyyar
Magar Badan Mai Kabhi Khoon Kam Nahi Hota

~~~~~

JAb Munafiq Shariyat Ko Mittanay Aaye
Waris Islaam k Islam Bachanay Aaye
Hum Ny Tareekh Mai Dekha Hai Dar e Zehra Ko
Jab Bhi Aaye Hain Musalman Jalanay Aaye

~~~~

Ishq e Ali k Jaam Ko Bar Bar Piya Karo
Mushkil Paray To Naam Ali Ka Liya Karo
JanNat Mai Jana Chahtay Ho Agar To Momino
Zehra K Dushmano Pe Lanat Kiya Karo

~~~~~

Kehta Hai Mullah, Zikar e Ali Na Karo Namaz Baatil Hai
Humaray Markaz k Aagay Dusra Nizaam Batil Hai
Arey O' Iblees k Potay ! Tje Kia Pata Jalwa e Wila Kia Hai
Namaz To Kuch Bhi Nahi, Ali k Bin To Pura Islam Batil HAi

~~~~

RAza e Aal e Nabi Ka Jan Zamin Hai
Qalam Ka Ye MujasamKalam Zamin Hai
Humaray Naam Ka Sikka Sajao Bazoo Par
Phir Aj Se Ye Tumhara Imam Zamin Hai

~~~~~

GHum e Hussain K Ansoo Hain Apni Aankhon Mai
Saja k Jism Pe MataM Ka Daagh Laye Hain
Suna Tha Qabar K Ander Bara Andhera Hai
Hum Apnay Sath Hazaron Charagh Laye Hain

~~~~~

Ali Mizaaj, Ali Dil, Ali Nazar Zainab
Hai Tujh Mai Nehjul Balagha K Sab Asar Zainab
Jahan Mai Lehja e Haider k 2 Hee Waris Hain
Ek Aasman Par Khuda, Ek Zamin Par Zainab

~~~~~

Ay Fouj e YAzeed Zara Sun Kaan Khol K
Teri Majal Kiya Tu MataM Ko Rok Dy
Mutafiq'qa Faisla Hai Momin k Zehan Ka
Teri Gali Se Guzray Ga Parcham Hussain Ka

Saturday, November 13, 2010

Ali a.s ki Beti

Qadam qadam par chiraagh aisay jala gai hai Ali  ki beti
Yazeedyat ki har ik sazish par chaa gai hai Ali  ki beti

Kahin b awaanezulm tamer ho na sake ga ab jahan men
Situm ki bunyad is tarah say hila gai hai Ali ki beti

Ajab Maseha Mazaj Khaton thi k lafzon k kimiya say
Hussainyat ko b saans lena seekha gai hai Ali ki beti

Bathak raha tha dimagh insaanyat jahalat ki teergi mein
Janum k andhay bashar ko rasta dikha gai hai Ali ki beti

salam

Ashoor ka dhal jana, Sughra ka woh mar jana
Akbar a.s tere seney mein ,burchi ka utar jana

Ay khone Ali Akbar a.s medaan e qayamat mein
Shabeer k chahrey par khuch or Nikhar jana

Sajaad a.s yeh kahte thy masoom sakina say
Abbass a.s k lashay say chup chaap guzar jana

Nunay say mujahid ko maa ne yeh nasiyat ki
teeron k muqabil be bekhoof o khatar jana

Muhsin ko rulaay ga ta Hashar lahoo aksar
Zahra a.s teri kaliyon ka Sehraa mein bikhur jana

Mola Ali a.s poetry

   
                       Rubai No.1

    Har shaks laiq nai mudai e Haider a.s
    Kisi agyaar ko yeh tarz e kalaam a nai sakta

          Mar jay ga munafiq na pukare ga Ya Ali a.s
          Napaak zubaan par yeh naam a nai sakta

                     Rubai     No.2
          
    Zuban par asal haqiqat ka ahtraaf nai
    Gubaar dida o dil gar saaf nahi

           Badan pe jama e Ahraam dil mein bugz e Ali a.s
           Yeh tere naseeb ka chakar ha tawaaf nai

                           Rubai No 3 

          Barooz e Mahshar Jidhar b dakho
                                Ali wali ka shoor ho ga
          Tabara bazi ki dhoom ho gi
                            wahan malungon ka zoor ho ga

           Aray dozakh mein sub say pahle
                            dhakela jay ga jo b banda
           Yaqeen hay Mohsin k woh kamina 
                            Fidak ki Malka ka chor ho ga

                       Rubai No 4

     Jo madad e boo taraab say inkaar karte han
     Wohi tu jung mein Hamesha faraar karte han

              Ali a.s k naam say jis ki jabeen par bul aeen
              Ary Munafiqon mein hum un ka shamaar karte han

                     Rubai No 5
    
        Ali k maanne  wala aqeel hota hai
        Haqooq e Binte Nabi ka waqeel hota hai

              Aray zameen say ooncha fizaoon mein bi chala jay
              Wahan b dushman e Zahra s.a zaleel hota hai
                       (Mohsin Naqvi)