Saturday, November 13, 2010

Mola Ali a.s poetry

   
                       Rubai No.1

    Har shaks laiq nai mudai e Haider a.s
    Kisi agyaar ko yeh tarz e kalaam a nai sakta

          Mar jay ga munafiq na pukare ga Ya Ali a.s
          Napaak zubaan par yeh naam a nai sakta

                     Rubai     No.2
          
    Zuban par asal haqiqat ka ahtraaf nai
    Gubaar dida o dil gar saaf nahi

           Badan pe jama e Ahraam dil mein bugz e Ali a.s
           Yeh tere naseeb ka chakar ha tawaaf nai

                           Rubai No 3 

          Barooz e Mahshar Jidhar b dakho
                                Ali wali ka shoor ho ga
          Tabara bazi ki dhoom ho gi
                            wahan malungon ka zoor ho ga

           Aray dozakh mein sub say pahle
                            dhakela jay ga jo b banda
           Yaqeen hay Mohsin k woh kamina 
                            Fidak ki Malka ka chor ho ga

                       Rubai No 4

     Jo madad e boo taraab say inkaar karte han
     Wohi tu jung mein Hamesha faraar karte han

              Ali a.s k naam say jis ki jabeen par bul aeen
              Ary Munafiqon mein hum un ka shamaar karte han

                     Rubai No 5
    
        Ali k maanne  wala aqeel hota hai
        Haqooq e Binte Nabi ka waqeel hota hai

              Aray zameen say ooncha fizaoon mein bi chala jay
              Wahan b dushman e Zahra s.a zaleel hota hai
                       (Mohsin Naqvi) 

14 comments:

  1. nice sharing wounderfull MAY ALLAH accept all this from u and reward u keep it up wait for your next sharing.

    ReplyDelete
  2. badan pe jama e ahraam dil main bugz ALI A.S ,
    ye tere naseeb ka chakar hai tawaaf nahi.
    bahut khoob beshak iss main kio shak nahi .

    ReplyDelete
  3. heheheh mola salamt rakhey ya Ali maddad kehne walon ko awesome Manqabas

    ReplyDelete
  4. Raastey Jitne Bhi Zangzaar Pahari HOtey
    Shakal Insaan Main Shewar Light ki Wo Gari Hotey
    Bhagne Main na Koe Un Ke mad-e-muqabil hota
    AAj HOtey Tu "Olympic" ke Khilari hotey

    ReplyDelete
  5. wah g kia bt ha .................mola salamt rakhay

    ReplyDelete
  6. faqat olad e ZAHRA (a.s) sey muhabbat karlo Mohsin
    Yeh wafadar ko ABBAS (a,s) bana detey hain

    ReplyDelete
  7. Na zar zewar na ameeri mangda
    Na shan o shokat na wazeeri mangda
    Tu dey cha khaliq Nabi dey sadqey
    ALI(a.s) dey dar di faqeeri mangda

    ReplyDelete
  8. Plz mujhay aik rubai chaheye shaheed mohsin naqvi sahb ki..
    گلی گلی میں اسی کا پر چم اسی کا سجدہ جبیں جبیں ھے
    قدم قدم سبیل اسکی نگر نگر وہی مکیں ھے

    بنامِ مولا اگر کسی ساتھی کے پاس ہہے تو عنایت فرمائیں مشکور ھوں گا

    ReplyDelete
  9. Subhanallah
    Mola salamat rakhay ♥️

    ReplyDelete